Maa shayari is for the most precious person of every person’s life. Mother is a blessing and lovable gift by GOD. Mother loves matches with no one’s love because mother’s love is the most powerful force on the universe. Mother loves his children without any reward, unconditionally and never ask anything in return so there is no limit of a mother’s loves.
Best way to express your emotions and love to your mother is maa shayari. Thats why shayarionly collects a large amount of maa shayari, mother Shayari, maa shayari in urdu, maa shayari gujarati,maa shayari hindi, Mother Poetry in English, shayari on mother in hindi, maa shayari 2 lines, maa ki yaad shayari, mothers day shayari in english,maa par shayari in hindi, maa shayari in english, maa shayari faraz, maa shayari punjabi, miss you maa shayari, maa ki dard bhari shayari.
» Suuna suuna sa mujhy ghar lagta hy,
Maa nahi hoti, mujhy dar lagta hy…
…………………………………………………………………………………………
» Aik moudat say mayre maa nahe sooie tabish,
Main nay ik bar kaha tha mujy dar lagta hai…
…………………………………………………………………………………………
» Soya naheen hon mein sulaa do maan,
Aajao mujhe lori sunaa do maan,
Ashk meri ankhon mein jam se gaye hain,
Kar ke dil pe jabbar mujhe rula do maan,
Dekho kitni be-tareeb ho gayi hai zindagi,
Bikhray hain mere baal bana do maan..
…………………………………………………………………………………………
» Es tarah mere gunaahon ko woh dhho deti hai,
Maan bohat ghussay mein ho to ro deti hai..
…………………………………………………………………………………………
» Soyi nahin hoon mujhe sulaa do maan,
Ajao mujhe lori sunaa do maan,
Asshk meri aankhon se jam se gaye hain,
Karke jabbr mujhe rulaa do maan,
Dekh kitni be’tarteeb ho gayi hai zindagi meri,
Bikhre hain mere baal bana do maan,
Bohat ddar lagta hai mujh ko duniya se,
Apne aanchal main mujh ko chupaa lo maan,
Jall rahi hoon main ik be’naam si tapish se,
Choom ke mera maatha bhuja do maan..
…………………………………………………………………………………………
» Laakh apne gird hifaazat ki lakeerain kheenchoon,
Aik bhi un mein nahin maan ki duaaon jessi..
…………………………………………………………………………………………
» Aye raat mujhe maan ki tarah goad mein lele,
Din bhar ki mushaqqat se badan toott raha hai..
…………………………………………………………………………………………
» Is zulm ki duniya main faqat pyar meri maan,
Hai mere liye saaya deewar meri maan,
Nafrat ke jazeeron se mohabbat ki hadhon tak,
Bass pyar hai, haan pyar hai, pyar meri maan..