» Ghar bana kar woh mere dil main chorr geya hai,
Na khud rehta hai na kisi aur ko basne deta hai..
…………………………………………………………………………………………
» Gila banta hi nahi un se berukhi ka,
Dil hi to tha, bhar geyaa ho ga..
…………………………………………………………………………………………
» Pagalpan ki sari lakeerein mere hath me kyun,
Jis ko chahoon me hi chahoon, mei hi chahon kyun..
…………………………………………………………………………………………
» Bohat naaz tha mujhe chaahne walon per magar,
Main azeez tha sab ko magar zaroorat ke liye..
…………………………………………………………………………………………
» Waqt taizi se badal geya,
Tum waqt se bhi taiz niklay..
…………………………………………………………………………………………
» Woh jazbon ki tijarat thi, yeh dil kuch aur samjha tha,
Usey hasne ki adat thi, yeh dil kuch aur samjha tha,
Mujhe woh dekh kar aksar, nigaahein phair leta tha,
Woh dar-e-pardaa haqaarat* thi, yeh dil kuch aur samjha tha..
…………………………………………………………………………………………
» Log aese wafaa nahin karte,
Jese bache gunaah nahin karte..
…………………………………………………………………………………………
» Ruswaayiyon ka aap ko aaya hai ab khayaal,
Hum ne to apne dost bhi dushman bana liye..
…………………………………………………………………………………………
» Tuje doston ki khabar na thi, muje dushmno ka pata na tha,
Teri dastaan koi aur thi, mera waaqeyaa koi aur thaa..
Leave a Reply